Showing posts with label 3d animation kaise shikhe. Show all posts
Showing posts with label 3d animation kaise shikhe. Show all posts

Saturday, May 19, 2018

Best free Software's for 3D Designing in hindi




3D design karne ke liye hume 3D designing softwares kharidne hote hai, aur 3D softwares ki market price bahut hi jyada hoti hai, per agar aapmese ksisika sapna hai ki use 3D animation or 3D modeling me ek accha career banana hai per, wo ya uske gharwale 3D coarses ka kharcha nhi utha sakte, mehenge softwares nhi kharid sakte, to aise log kya kare?


          To Hello friends mai hu Krishna, All about Coumputers me aapka swagat hai aur, mai yahaper Computer Technology related blogs late rehta hu.


          Yahaper mai aapko 3d Designing ke liye kounse-kounse free softwares hai uske bare me bataunga, aur kuch free tips bhi dunga jise follow karke aap kuch 3D Animation aur 3D Modeling ka accha knowledge hasil kar sakte hai.

          Aage badhne se pehle aapko batadu ke aapke pas khudka Personal Computer hona jaroori hai, kyuki yahaper sabse important jo hai wo computer hi hai, aur wo aapka khudka hona jaroori hai, agar aapke pas aapka khudka computer hai to kabhibhi-koibhi software install kar sakte hai, aur mai ye bilkul nahi kahunga ki aapke pas high recommended computer hi hona chahiye, kyuki hume to abhi basics sikhna hai, aur mai aise softwares bataunga jisse aap 3D work ek normal PC per ker sakte hai.



Ek najar humare Free 3d Software's ki aur




Blender 3D

Iss list me jitne bhi softwares hai usme se sabse well-known aur mera personaly favorite Blender 3d software hai. Blender 3d alternative se lekar paid software ka ek hi mixture hai. Is software me aapko wo sabhi features milenge jo ek paid software me hote hai.






          Itna hi nahi Blender 3d me aapko 3d Modeling ke alawa Rendring, Animation, Composition and Visualization ke features diye gaye hai, aur sabse important Blender 3D ek open source aur free to use software hai. Ye software use karne me Autodesk Maya se bhi easy hai. Yahaper aap 3d Modeling, 3d Animation, Visualization, Video Editing, VFX Making, Sculpting, Texturing jaise aur bhi bahut kuch kar sakte hai. Aur aapko batadu ke aap Blender 3d ka use karke aap apne khudke 3d games bhi design kar sakte hai, isme ek Game Engine ke sabhi features diye gaye hai.

Aur majeki bat to ye hai ki Blender 3D Size me sabhi 3d modeling ke isse bahut kam feature wale softwares ke size ke mukable mahut hi kam hai. Aap iss saftware ke jariye apne imagination ko improve kar sakte hai. har time kuch naya kuch hatke kar sakte hai. Aur agar aap abhi collage student ya fir usse kam umra wale ho to aap isse apne acche career ki shuruwat abhi se kar sakte hai.




AutoDesk TinkerCad




Tinkercad AutoDesk ka hi ek product hai, basically ye Hobbsist, Teachers and kids ke liye banaya gaya hai, yahaper aap 3D print ke liye 3D models bana sakte hai, jaise kid toys banane ke liye, prototypes, home decor, Minecraft models, jewelry etc.

          Tinkercad koi computer software nahi hai ye ek online tool hai aapko 3D models banane ke liye, yahaper 3D designs banane ke liye aapko koi bhi design experience nahi chahiye hota hai, ye ek very-very easy learning tool hai, aur ye bilkul hi free hai sabhi ke liye, Tinkercad ko chalane ke liye aapko pehle Tinkercad ki Website per Sign In karna padta hai, aur ha ye ek secure website hai.


Visit and explore Tinkercad Website Click Here Official Website


Google SketchUp




Goole SketchUp ek Quick, fast, easy and awesome 3D designing software hai, agar aap fast attractive designs banana chahte hai to mai Google SketchUp ko ek bar jaroor try karne ko kahunga. Yaha aap kisibhi badi-badi builtings ka structure bana sakte hai, aap Google SketchUp ki madat se kisibhi high tech model ka concept bahut hi sadharan tarikese aur fast bana sakte hai. Google SketchUp Architecture 's ke liye ek bahut accha software hai, agar hum free softwares ki bat kare to.

          Agar ab bat kare Google SketchUp ke render ki to mere hisab se ye kuch jyada accha nahi hai. agar aapko photo realistic render ki jarurat ho to SketchUp ke liye rendering plugins ka use kar sakte hai, aisa hi V-Ray ek rendering tool hai, per V-Ray ek paid Rendering software hai. Aapko photorealistic render ki abhi jarurat nahi hai to aap SketchUp se bhi render kar sakte hai.


Open SCAD

Open SCAD ek Solid Modeling tool hai, aur ye kisikebhi liye bilkul bhi free hai. Open SCAD Linux/Unix, Windows and Mac Operating Systems ke liye hai. Agar aap machines aur machines ke parts banana pasand karte hai to Open SCAD aapke liye ek accha software sabit ho sakta hai.

          Open SCAD Scripts based software hai ye scripts ko read karta hai, aur scripts ko read kerke hi render karta hai. Ye software modeling process me aapko designer ka ful control deta hai.

Open Scad aapko do main modeling techniques ke features deta hai, pehla hai Constructive Solid Geometry (CSG) and dusra hai Extrusion of 2D outlines. 

Download Open SCAD on your Computer Click Here


3D Crafter





3D Crafter ek real time 3d modeling software hai. Iska primarily use ek advance animation studio ke tour per kiya jata hai. 3d Crafter chalane me humari soch se bhi bahut aasan hai, per isme master karna aasan nahi hai. Ye ek Drag and Drop techniques ka software hai, isme aapko sirf objects ko click karke kahiper bhi drop karna hota hai.

          Iske alawa 3d Crafter 3d Printing, architecture studios, quickly concept models banane ke liye aur model ki detail badhane ke liye use kiya jata hai.

Download 3D Crafter Free Click Here


Leo CAD





Leo CAD ek aisa software hai, jahaper aap LEGO jaise 3d characters aur models bana sakte hai. Ab agar aapne LEGO movies dekhi hogi to aapko pata hoga ki lego models kaise hote hai. Yahaper hume bricks ki madat se models ko build karna hota hai.

          Apko Leo CAD me kuch advance features bhi mil jate hai, jaise bilkul easy steps me aap kisibhi model ko bana sakte hai, ye software L Draw / Line Draw compatible hai, sabse acchi bat Leo CAD ek Open Source software hai, ise koi bhi use kar sakta hai.

Download LeoCAD Here




Agar aapke pas computer se Related koi bhi Questions ya Problems hai,
to aap Comment box me puch sakte hai.